jo nahin jaanta hun khalq-e-khuda puchhti hai mujh se har mod pe ab mera pata puchhti hai be-aman dekh ke tute hue patton ki tarah le chalun tujh ko kidhar mujh se hawa puchhti hai mujh mein wo kaun si shai hai jo har ek pal mujh se hona kab qaid-e-badan se hai riha puchhti hai dekh kar jis ko sabhi log hain ghabrae hue khairiyat meri wahi rah-e-fana puchhti hai muntazir kab se meri tishna-labi thi jis ki wo ghata mujh se samundar ka pata puchhti hai zarre zarre ki zaban par hai kahani meri mujh se ye duniya mere bare mein kya puchhti hai dasht-e-zulmat hai mujhe shahr-e-nigaran 'naushad' haal-e-dil mujh se sitaron ki ziya puchhti hai