jo samna bhi kabhi yar-e-khub-ru se hua zamane bhar ka yurish mujh pe chaar su se hua kaha ishaaron se main ne ki tum pe marta hun jo nutq band mera un ki guftugu se hua kisi ko bhi na hawas thi halal hone ki riwaj-e-shauq-e-shahadat mere gulu se hua jidhar nigah ki jalwa tera nazar aaya kamal-e-kashf mujhe teri aarzu se hua khula na haal kisi par ki kya mizaj mein hai khudai mein koi waqif na us ki khu se hua ajab ghadi se gareban phata tha majnun ka tamam umr na waqif kabhi rafu se hua bade-badon ko lagaya na munh kabhi main ne wo zarf hun ki na waqif kabhi subu se hua wo khud bhi kar gae tar aansuon se turbat ko gali mein yar ki madfun is aabru se hua bahaar-e-bagh ko aae jo dekhne be-yar dimagh aur pareshan gulon ki bu se hua chadhae gor-e-ghariban pe gul jo us gul ne chaman bahisht ka paida maqam-e-hu se hua halal hone ko sayyaad se mohabbat ki qaza jo aai to manus main adu se hua khudai karne laga yar be-niyazi se bada ghurur use meri aarzu se hua jahan se mahfil-e-mearaj mein hui talabi bashar ka martaba ye us ki justuju se hua lagate hain jo sab aankhon se aab-e-zamzam ko 'sharaf' ye faiz ka chashma meri wazu se hua