jo sitara tut kar pamal hai ab khak mein ye kabhi tabinda tha jab rahta tha aflak mein main to mitti hi thi aur mitti hi rah jati magar kuza-gar ke hath mein ya tha fusun kuchh chaak mein waqia teri shararat ka koi yaad aa gaya hans padi be-sakhta main lamha-e-namnak mein kat do mere paron ko rok do meri udan bikhre hain khwabon ke tukde is khas-o-khashak mein shab ne rangat ke liye hi mah-o-akhtar ko 'ana' dekhiye tanka hai kaise apni is poshak mein