jo tez-rau the thi pairon mein jin ke jaan bahut

jo tez-rau the thi pairon mein jin ke jaan bahut
wo log odh ke soe hain ab thakan bahut

daron mein qaid kahin ikhtilaf hote hain
makin ho ke bhi rahte hain be-makan bahut

na jaane shor utha kar kahan se lai hai
hawa ne aaj dikhae hain mere kan bahut

ye zindagi bhi ajab rah ki musafir hai
kahin chadhan bahut hai kahin dhalan bahut

ye raaz roz koi fash kar hi deta hai
zamin khud mein samete hai aasman bahut

zamin uthegi nahin aasman jhukega nahin
ana-parast hain donon ke khandan bahut

kisi ka dard sununga to tut jaunga
mere liye hai faqat meri dastan bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close