josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi rahne do gardish mein thodi der paimana abhi jam khali ho kisi ka koi khum ke khum chadhae yar samjhe hi nahin aadab-e-mai-khana abhi ek zara pir-e-mughan de de hamein bhi ikhtiyar la ke joban par dikha sakte hain mai-khana abhi ishq ki fitrat na badli hai na badlegi kabhi shama raushan kijiye aata hai parwana abhi de diya dil hum ne pura ho gaya yun ek bab man jaen aap to pura hai afsana abhi sun rahe hain aa rahi hai har taraf taza bahaar apna ghar kyun lag raha hai mujh ko virana abhi ai 'faridi' wo satate hain sata lene bhi do kam-sini hai aur hain andaz-e-tiflana abhi