juda thi baam se diwar dar akela tha makin the khud mein magan aur ghar akela tha thi aarzu ki rahun jabr se mahaz-ara main dar gaya ki ye lamba safar akela tha nigah-e-ghair jise mo'tabar bahut thahri use main kaise dikhata nagar akela tha kahan talak main shujaat ki dad deta yahan ki us ki sari sipah main idhar akela tha bahut maze mein rahe sar-nigun khajil paude hawa-e-tez ki zad mein shajar akela tha abas sharik tha be-waqt razm mein 'shahin' dayar-e-ghair mein wo be-khabar akela tha