junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai qad o gesu se apna silsila dar-o-rasan tak hai magar ai ham-qafas kahti hai shorida-sari apni ye rasm-e-qaid-o-zindan ek diwar-e-kuhan tak hai kahan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-pa se mere qadmon ki gul-kari bayaban se chaman tak hai main kya kya jura-e-khun pi gaya paimana-e-dil mein bala-noshi meri kya ek mai-e-saghar shikan tak hai na aakhir kah saka us se mera haal-e-dil-e-sozan mah-e-taban ki jo us ka sharik-e-anjuman tak hai nawa hai jawedan 'majruh' jis mein ruh-e-saat ho kaha kis ne mera naghma zamane ke chalan tak hai