junun-e-kargar hai aur main hun hayat-e-be-khabar hai aur main hun mita kar dil nigah-e-awwalin se taqaza-e-digar hai aur main hun kahan main aa gaya ai zor-e-parwaz wabaal-e-baal-o-par hai aur main hun nigah-e-awwalin se ho ke barbaad taqaza-e-digar hai aur main hun mubarakbaad ayyam-e-asiri gham-e-diwar-o-dar hai aur main hun teri jamiyyaten hain aur tu hai hayat-e-muntashar hai aur main hun koi ho sust-paiman bhi to yun ho ye sham-e-be-sahar hai aur main hun nigah-e-be-mahaba tere sadqe kai tukde jigar hai aur main hun thikana hai kuchh is uzr-e-sitam ka teri nichi nazar hai aur main hun 'firaq' ek ek hasrat mit rahi hai ye matam raat bhar hai aur main hun