junun irfan ban kar rah gaya hai ye kufr iman ban kar rah gaya hai ye coffee-ghar meri shamon ka mehwar meri pahchan ban kar rah gaya hai farishta jis ko banna tha wo insan faqat haiwan ban kar rah gaya hai wo tha ek nukta-dan khush-fikr shaer magar nadan ban kar rah gaya hai sukhan mera teri bazm-e-tarab mein surili tan ban kar rah gaya hai ye kaisi mahwiyat hai mera hona tera paiman ban kar rah gaya hai hue na-paid ehsas-o-takhayyul adab be-jaan ban kar rah gaya hai jadidiyat mein be-chaara sukhnawar khirad ki shan ban kar rah gaya hai dabistan-e-sukhan ab 'krishn' mohan shuuristan ban kar rah gaya hai