jurm aisa bhi meri jaan mujh se kya hone laga tere mere darmiyan jo fasla hone laga sada-dil ko lutta hai ye zamana kis tarah dhire dhire ab mujhe bhi tajraba hone laga aab-e-zamzam aur ganga jal ko pi kar boliye kya wo ghunda aur mawali parsa hone laga ab utha kar phenk dije mulk ke dastur ko hukmaran ke hukm par jab faisla hone laga aap ki aankhon ne jaane mere dil se kya kaha baad jis ke sara manzar khushnuma hone laga