juz nadamat malal kya hoga hasil-e-ishti'al kya hoga main ki khana-ba-dosh hun mujh ko hijraton ka malal kya hoga khamushi jab kalam karti ho phir wahan qil-o-qal kya hoga ek muddat se hijr lahaq hai koi mujh sa nidhaal kya hoga jis pe wada hai rab ki bakhshish ka qatra-e-infi'al kya hoga zid pe aae hue hain ashk mere zabt ab tera haal kya hoga dost tarkash-ba-dosh hain 'shazi' zakhm ka indimal kya hoga