kaam ka ek yahi kaam kiya ishq-dar-ishq subh-o-sham kiya dil jawaban dhadak raha tha mera tu ne aankhon se jab salam kiya mujh ko tujh se badi mohabbat hai le ye dil main ne tere nam kiya baiat-e-ishq tod di us ne jis ne duniya ka ehtiram kiya tab samajh aaya khal-o-khad ka kalam tujh se jab ru-ba-ru kalam kiya meri bad-namiyon se puchh tujhe kitni mushkil se nek-nam kiya hum payambar hain husn-e-jaanan ke is shariat ko hum ne aam kiya dard ke ab wahan khazane hain main ne 'khalid' jahan qiyam kiya