kab meri halqa-e-wahshat se rihai hui hai

kab meri halqa-e-wahshat se rihai hui hai
dil ne ek aur bhi zanjir banai hui hai

aur kya hai mere daman mein mohabbat ke siwa
yahi daulat meri mehnat se kamai hui hai

ishq mein jurat-e-tafriq nahin qais ko bhi
tu ne kyun dasht mein diwar uthai hui hai

teri surat jo main dekhun to guman hota hai
to koi nazm hai jo wajd mein aai hui hai

ek pari-zad ke yaadon mein utar aane se
zindagi wasl ki barish mein nahai hui hai

apni mitti se mohabbat hai mohabbat hai mujhe
isi mitti ne meri shan badhai hui hai

samne baith ke dekha tha use wasl ki raat
aur wo raat hi aasab pe chhai hui hai

tum gae ho ye watan chhod ke jis din se 'said'
ek udasi dar o diwar pe chhai hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close