kab talak ji ruke khafa howe aah kariye ki tak hawa howe ji thahar jae ya hawa howe dekhiye hote hote kya howe kar namak sud sina-e-majruh ji mein gar hai ki kuchh maza howe kahish-e-dil ki kijiye tadbir jaan mein kuchh bhi jo raha howe chup ka bais hai be-tamannai kahiye kuchh bhi to muddaa howe bekali mare dalti hai nasim dekhiye ab ke sal kya howe mar gae hum to mar gae to ji dil-girafta teri bala howe ishq kiya hai durust ai naseh jaane wo jis ka dil-laga howe phir na shaitan sujud-e-adam se shayad us parde mein khuda howe na suna raat hum ne ek nala ghaaliban 'mir' mar raha howe