kaba banaiye na kalisa banaiye

kaba banaiye na kalisa banaiye
dil ko tasawwuraat ki duniya banaiye

taswir-e-husn khinchiye majnun ke bhes mein
aaina-e-khayal ko laila banaiye

hirs-o-hawa-e-dar-e-fana se gharaz nahin
duniya se khoiye mujhe apna banaiye

diwangi-e-ishq ko ruswa na kijiye
laila ko qais qais ko laila banaiye

hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye bar bar
musa banaiye mujhe musa banaiye

kyun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya
kis ne kaha tha qais ko laila banaiye

pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye
phir ikhtiyar hai mujhe musa banaiye

sidq-o-safa ke sanche mein phir dil ko dhaal kar
mehr-o-wafa ka gauhar-e-yakta banaiye

jal kar bhi soz-e-ishq mein uf tak na kijiye
dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye

'kulsum' zindagi ka guzarna muhaal hai
duniya ko ek hasin tamasha banaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close