kaba bhi hai tuta hua but-khana hamara yarab rahe aabaad ye virana hamara baatin ki tarah pak hai khum-khana hamara kyun kar na achhuta rahe paimana hamara jo shama hua karti hai raushan sar-e-bazar us shama pe girta nahin parwana hamara saqi tera mai-khana rahe hashr tak aabaad bhar jata hai kashkol-e-gadayana hamara bah jaega is bazm mein ek faiz ka dariya aata hai chhalakta hua paimana hamara chal su-e-adam chal hamein kya uzr hai ai maut tayyar hai saman-e-gharibana hamara ban jata hai phir shaikh ka bhi murshid-e-kaamil dagta nahin pita hai jo paimana hamara kis zulf ko suljhaen raqiban-e-siyah-kar chhuta nahin is zulf ko phir shana hamara fariyaad-kunan hain kisi pazeb ke dane tode kahin zanjir na diwana hamara kharon se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhen sikhe koi andaz-e-sharifana hamara tasir na ho 'shad' to dena hamein ilzam kuchh der to sun waiz hakimana hamara