kabhi apne ishq pe tabsire kabhi tazkire rukh-e-yar ke yunhi bit jaenge ye bhi din jo khizan ke hain na bahaar ke ye tilism-e-husn-e-khayal hai ki fareb tere dayar ke sar-e-baam jaise abhi abhi koi chhup gaya hai pukar ke siyo chaak-e-daman-o-astin ki wo sargiran na ho phir kahin yahi rut hai ishrat-e-did ki yahi din hain aamad-e-yar ke abhi aur matam-e-rang-o-bu ki chaman ko hai talab-e-numu tere ashk hon ki mera lahu ye amin hain fasl-e-bahaar ke gham-e-roz-o-shab ki amin hai ye hayat phir bhi hasin hai kahin dhup aariz-e-dost ki kahin saye gesu-e-yar ke