kabhi guman kabhi e'tibar ban ke raha dayar-e-chashm mein wo intizar ban ke raha hazar khwab meri milkiyat mein shamil the main tere ishq mein sarmaya-dar ban ke raha tamam umr use chahna na tha mumkin kabhi kabhi to wo is dil pe bar ban ke raha usi ke nam karun main tamam ahd-e-khayal darun-e-jaan jo mere sogwar ban ke raha agarche shahr mein mamnua thi himayat-e-khwab magar ye dil sabab-e-intishaar ban ke raha