kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhala ye ahd-e-visal kya hai ho wada ifa ki tark-e-ulfat ye roz-marra ki tal kya hai zaban bigdi hai aap hi ki hamara nuqsan kya hai is mein zara tumhin puchhun dil se apne bhala ye tarz-e-maqal kya hai jo manga ek bosa main ne un se to bole kya tu sadi hua hai zara ye baaten suno to logo jawab kya hai sawal kya hai unhen sar-e-rah akela pa kar ye bola chhati se main laga kar ki ab to farma den banda-parwar visal mein qil-o-qal kya hai hain tark-e-ulfat mein hum bhi raazi ye kah do be-khatke us sanam se buton ka is hind ki zamin par khuda ki rahmat se kal kya hai kada rakhe aadmi jo dil ko to jhel le har kadi ko aasan bandhi hui ho jo apni himmat to kaam koi muhaal kya hai ye kaisi hain thandi sansen 'kaifi' kahin to aaya hai aap ka dil ye munh nikal aaya kyun zara sa bataiye to ki haal kya hai