kabhi madhur kabhi mithi zaban ka shair hun isi sanad se main hindostan ka shair hun dikhenge mujh mein tumhein zakhm ghaw dono hi khilaf-e-zulm ke aajiz bayan ka shair hun main apni fikr ko mahdud rakh nahin sakta zamin-o-arsh makin-o-makan ka shair hun guman kahta hai ke main yaqin ka shair hun yaqin kahta hai ke main guman ka shair hun jahan hai zarra qamar aur jahan qamar zarra main us zamin ka main us aasman ka ka shair hun abhi mujhe na sukhnawar kaho mere ahbab abhi sukhan mein faqat imtihan ka shair hun mujhe na dekho yun nafrat bhari nigahon se main 'hashmi' hun main amn-o-aman ka shair hun