kabhi to josh mein aa aur rang-o-ras pe baras

kabhi to josh mein aa aur rang-o-ras pe baras
tu abr hai to mere jism ki hawas pe baras

main chahta hun koi naqsh wasl ka ubhre
ai rang-e-husn mere dil ke canwas pe baras

yaqin man meri zindagi mein hain hi nahin
guzar rahe hain tere bin jo ye baras pe baras

uda ke le hi na jaen ye aandhiyan mujh ko
kahin baras na baras mere khar-o-khas pe baras

suna hai bediyon mein mahw-e-raqs hai 'sayyad'
chaman ko chhod de kali ghata qafas pe baras


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close