kabhi wo ranj ke sanche mein Dhaal deta hai

kabhi wo ranj ke sanche mein dhaal deta hai
kabhi khushi wo mujhe be-misal deta hai

jawab sochti rahti hun main kai din tak
wo ek sawal hawa mein uchhaal deta hai

hamare pyar sa duniya mein pyar sab ka ho
hamare pyar ki ye jag misal deta hai

kisi ko rang banata hai wo sudama sa
kisi ko daulat-o-jah-o-jalal deta hai

jo mujh se sher ke sanche mein dhal nahin pata
khuda kabhi mujhe aisa khayal deta hai

usi ke hath mein hai karobar duniya ka
kabhi kamal kabhi wo zawal deta hai

wo shaeron ko ata karta hai khayal nae
musawwiron ko wo kasb-e-kamal deta hai

hai us ka khas karam mere dil pe ai 'shobha'
wo mere dil ko kasak la-zawal deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close