kabutar jis taraf se aa raha hai udhar tiron ka lashkar ja raha hai badan kirnon ka maila ho na jae faza mein wo dhuan phaila raha hai hamare kal ko mahkana hai us ne magar wo phul to murjha raha hai ye meri lash ko sahil pe rakh kar samundar kis taraf ko ja raha hai main kho jata kahin zulmat mein lekin mujhe rasta koi dikhla raha hai nahin pichhe bhi mud ke main ne dekha ye mera jism kyun pathra raha hai koi zina to panw mein hai 'khawar' jo is tezi se upar ja raha hai