kaghazi hath hamein ras na aaen shayad

kaghazi hath hamein ras na aaen shayad
ab ke mitti se ghazal koi ugaen shayad

un hasin jhil si aankhon ka fusun kya kahiye
sher pahnenge parindon ki qabaen shayad

pahle isa hi ko maslub kiya tha lekin
ab ke mariyam ko bhi den log sazaen shayad

us ne khole hain shab-e-wasl ghanere gesu
aaj barsengi dhuan-dhaar ghataen shayad

sangsar aaj sar-e-am jo karte hain hamein
kal wahi hath janaza bhi uthaen shayad

na koi phul na aansu na larazta jugnu
meri jholi mein hain be-kar duaen shayad

'prem' kya daur hai dil se bhi giran hain patthar
hasraten shishe ke ghar aur banaen shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close