kaha jo hum ne hamen dar se kyun uthate ho kaha ki is liye tum yan jo ghul machate ho kaha ladate ho kyun hum se ghair ko hamdam kaha ki tum bhi to hum se nigah ladate ho kaha jo haal-e-dil apna to us ne hans hans kar kaha ghalat hai ye baaten jo tum banate ho kaha jatate ho kyun hum se roz naz-o-ada kaha ki tum bhi to chahat hamein jatate ho kaha ki arz karen hum pe jo guzarta hai? kaha khabar hai hamein kyun zaban pe late ho kaha ki ruthe ho kyun hum se kya sabab is ka kaha sabab hai yahi tum jo dil chhupate ho kaha ki ham nahin aane ke yan to us ne 'nazir' kaha ki socho to kya aap se tum aate ho