kaha main ne meri aankhon mein pani hai jawab aaya mohabbat ki nishani hai kaha main ne lagi dil ki bujhani hai jawab aaya ye jazba jawedani hai kaha main ne khilenge kab wafa ke phul jawab aaya abhi mausam khizani hai kaha main ne mohabbat mehwar-e-hasti jawab aaya bala-e-na-gahani hai kaha main ne ki har lamha sisakta hun jawab aaya ki ulfat to nibhani hai kaha main ne sitam itna nahin achchha jawab aaya mohabbat aazmani hai kaha main ne mata-e-zist yani tu jawab aaya yahan har chiz fani hai kaha main ne ki dekh in surkh aankhon mein jawab aaya mohabbat aasmani hai kaha main ne ki kyon itne gurezan ho jawab aaya tumhaari mehrbani hai kaha main ne meri ghazlon ki jaan ho tum jawab aaya tumhaari khush-gumani hai kaha main ne khamoshi mar dalegi jawab un ka mukammal be-zabani hai kaha main ne sunao haal-e-dil 'raghib' jawab aaya bahut lambi kahani hai