kahan kahan se nigah us ko dhund lae hai kisi ke sath sahi wo nazar to aae hai falak se jaise sitara zamin par utre meri gali mein wo mahshar khiram aae hai faza-e-fikr mein wo chand ban ke chamka hai shab-e-firaq ki rangat badalti jae hai khuda gawah khuda to nahin wo shakhs magar usi ka nam mukarrar labon pe aae hai kahan kahan na jalae nawazishon ke charagh mujhi ko ghor andhere mein chhod jae hai wo baat zehn mein jis se kuchh intishaar sa hai wo baat sher ke sanche mein dhalti jae hai