kahan pahunchega wo kahna zara mushkil sa lagta hai magar us ka safar dekho to khud manzil sa lagta hai nahin sun paoge tum bhi khamoshi shor mein us ki use tanhai mein sunna bhari mahfil sa lagta hai bujha bhi hai wo bikhra bhi kai tukdon mein tanha bhi wo surat se kisi aashiq ke tute dil sa lagta hai wo sapna sa hai saya sa wo mujh mein moh-maya sa wo ek din chhut jaana hai abhi hasil sa lagta hai ye lagta hai us ek pal mein ki main aur tu nahin hain do wo pal jis mein mujhe mazi hi mustaqbil sa lagta hai