kahin charagh bujhana pada ki main bhi hun kahin pe khud ko jalana pada ki main bhi hun mere gale mein jo dala mere harifon ne mujhe wo dhol bajaana pada ki main bhi hun teri ata wo tajassus hai jis ke badhne par tujhe bhi tur pe aana pada ki main bhi hun wo bar bar mujhe bhulta tha aur mujhe ye bar-bar batana pada ki main bhi hun suna tha aaenge mahfil mein dil-darida log mujhe bhi zakhm dikhana pada ki main bhi hun wahan pe khud ko dikhaya jahan main tha hi nahin kahin ye sach bhi chhupana pada ki mein bhi hun main manta hun ki khamosh hai magar wo hai mujhe to shor machana pada ki main bhi hun hua nahin to bhi sabit karunga hone ko agar yaqin dilana pada ki main bhi hun 'hasan' hai itna zaruri wajud ka izhaar hawa ko ped hilana pada ki main bhi hun