kahin KHala mein koi ruh chiKHti hogi

kahin khala mein koi ruh chikhti hogi
mera khayal hai ab sham dhal chuki hogi

padha to tha kahin main ne kisi faqir ka qaul
baghawaton ki nigahban supurdagi hogi

main khud se mahw-e-takallum tha be-hijabana
mujhe khabar na thi duniya bhi sun rahi hogi

mere wajud ko aahang bhi usi ne diya
mere adam ka sabab bhi yahi sadi hogi

abhi abhi jo sar-e-rahguzar mili thi mujhe
wo dhup chhanw ki murat kahan gai hogi

safina-e-waqt kise apne munh lagata hai
hamin ne phir koi baat aisi waisi ki hogi

hayat mein wo maqam aa raha hai ab ki jahan
na e'tiqad muawin na aagahi hogi

ajib khauf musallat dil-o-dimagh pe hai
mere safar ki ye shab shayad aakhiri hogi

ye january ka mahina bhi kat gaya 'hairat'
khuda ke fazl se kal ek farwari hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close