kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun phir is be-rabt se khake mein khud se kaam rakhta hun saliqe se main us ki guftugu ka lutf leta hun aur us ke ru-ba-ru dil mein khayal-e-kham rakhta hun ba-zahir madh se us ki kabhi thakta nahin lekin darun-e-khana-e-dil khwahish-e-dushnam rakhta hun khush aai hai abhi to qaid-e-khwahish is kharabe mein abhi khud ko rahin-e-gardish-e-ayyam rakhta hun safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhul udti hai had-e-aghaz mein andesha-e-anjam rakhta hun firaq o wasl se hat kar koi rishta hamara hai ki us ko chhod pata hun na us ko tham rakhta hun dalil-e-khwab-e-masti hai teri aamadgi imshab magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhta hun tajawuz se bhala kab tak guzar auqat mumkin thi so apne khun tak shor-e-dil-e-badnam rakhta hun