kahin pe qurb ki lazzat ka iqtibas nahin tere khayal ki khushbu bhi aas-pas nahin hazar bar nigahon se chum kar dekha labon pe us ke wo pahli si ab mithas nahin saja ke botalen table pe muntazir hon magar qarib o dur nigahon ke wo gilas nahin samundaron ka ye namkin pani kaise piyun piyasa hun magar itni ziyaada pyas nahin ye aur baat ki mujh se bichhad ke khush hai magar wo kaise kah de ki main in dinon udas nahin tumhaare kapde kahin gard mein na at jaen ye khushk patton ka bistar hai sabz ghas nahin bujhi bujhi sahi ye dhup kam nahin 'aslam' ab is ke baad kisi raushni ki aas nahin