kahin se ghair jo pahlu mein aae baithe hain isi liye wo hamein yun bhulae baithe hain zara samajh ke karo hum se apne gham ka bayan hum ek umr ke sadme uthae baithe hain kabhi khayal mein apne mujhe nahin lae wo muddaton se mere dil mein aae baithe hain kahan se loge wo surat wo kam-sini ka jamal hum apne gosha-e-dil mein chhupae baithe hain khuda ka shukr hai un ko khayal to aaya ki wo kisi ki nazar mein samae baithe hain dhara hi kya hai mohabbat mein be-kasi ke siwa hum apne aap muqaddar banae baithe hain nigah-e-naz ke talib hain rahguzar mein teri isi firaq mein dhuni ramae baithe hain kisi ko dekh liya tha kahin pe nadan ne tabhi se khud ko ye hazrat lubhae baithe hain