kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai girah jo kholen to dil aur bhi ulajhta hai wo ek baat jo dil mein hai mere us ke liye zaban se kahta nahin wo magar samajhta hai main teri aankhon ki ye pyas kis tarah dekhun mere wajud mein baadal koi garajta hai ajib chiz hai ye khubi-e-khutut-e-badan koi libas ho us ke badan pe sajta hai ye raat aur ye dasti hui si tanhai lahu ka saz 'qamar' tan-badan mein bajta hai