kaho buton se ki hum taba sada rakhte hain phir un se arz-e-wafa ka irada rakhte hain yahi khata hai ki is gir-o-dar mein hum log dil-e-shagufta jabin-e-kushada rakhte hain khuda gawah ki asnam se hai kam raghbat sanam-gari ki tamanna ziyaada rakhte hain dukan-e-baada-faroshan ke sahn mein 'abid' farishte khuld ka ek dar kushada rakhte hain