kahte hain log ye ki badi dil-nashin hai sham lekin mujhe ye lagta hai andoh-gin hai sham ye ek chhalawa hai ki pahadon ki aag hai wahm-o-guman ki shakl mein jaise yaqin hai sham kya us ko dhundte ho khalaon ke darmiyan tum apne dil mein khoj ke dekho yahin hai sham ye kaisi machhliyan hain chamakti hain raat bhar ye jhil hai ki ek nigah-e-hasin hai sham donon ka wasl ho to shafaq-rang ho ye dil hai raat aasman to goya zamin hai sham din ka gunah raat ke sar aa gaya hai kyun? kya shab ki be-gunahi ki shahid nahin hai sham? ye to badal chuki hai 'karamat' hawa ka rukh kaise kahun ki waqt ke zer-e-nagin hai sham