kaif-e-junun sahi yahi haalat bani rahe lillah meri un ki mohabbat bani rahe jo ho gaya so ho gaya ab us ko chhodiye yun kijiye ki ishq ki azmat bani rahe mere gunah hazar sahi sau ki ek baat ye hai ki dil mein aap ki rahmat bani rahe ai dost tere milne ki surat nahin sahi kuchh tere kaam aane ki taqat bani rahe didar ke khayal ki jurat nahin mujhe dar ko salam karne ki aadat bani rahe ai ishq tu ne khub kiya bagh bagh dil ta-umr in gulon ki ye nikhat bani rahe wo aa gae hain khud hi meri zindagi mein ab aankhon mein is yaqin ki jalwat bani rahe har su ayan bahisht har ek gam par iram har lamha wasl hai ye aqidat bani rahe ya-rab main kar gaya hun kuchh aisi hi ek khata yun kijiyo ki dahr mein izzat bani rahe 'rahbar' hum un se kahte hain hum par jafa karen un ko duaen dene ki aadat bani rahe