kaif-e-masti mein ajab jalwa-e-yaktai tha tu hi tu tha na tamasha na tamashai tha husn be-wasta-e-zauq-e-khud-arai tha ishq be-wahima-e-lazzat-e-ruswai tha teri hasti mein na kasrat thi na wahdat paida hama o be-hama o ba-hama yakjai tha parda-dar koi na tha aur na dar-parda koi ghairat-e-ishq na thi aalam-e-tanhai tha la-fana teri sifat thi teri hasti ka subut be-nishan tera nishan surat-e-binai tha haal tha haal na mazi tha na tha mustaqbil az-azal ta-ba-abad jalwa-ba-ranai tha zat qaem thi ba-zat aur sifat thi madum kun na tha marka-e-anjuman-arai tha bazm mein tu ne jo ulta rukh-e-raushan se naqab ek aalam tere jalwe ka tamashai tha fitna-za husn hua ishq hua shor-e-fagan ram hua shauq-faza shauq tamannai tha koi sabit koi sayyara koi mutahayyar koi aashiq koi majnun koi saudai tha harf aur saut mein aata hai kisi ka ho kalam 'sahir' aaghaz mein kun ghayat-e-paidai tha