kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle

kaifiyat kya thi yahan aalam-e-gham se pahle
kaun aaya tha teri bazm mein hum se pahle

sab karam hai tere andaz-e-sitam se ai dost
zauq-e-gham dil ko na tha tere sitam se pahle

bandagi teri khudai se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tere naqsh-e-qadam se pahle

qalb-e-insan ko hai ab phir usi aalam ki talash
teri mahfil thi jahan dair-o-haram se pahle

hum se mansur zamane mein kahan hain 'akhtar'
dar tak aa nahin sakta koi hum se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close