kaisa chakkar kat ke aana padta hai tere mere bich zamana padta hai phir ashkon ki qismat jage ya soe pahle to aankhon mein aana padta hai meri mano mat is darja khwab buno khwabon ka mahsul chukana padta hai khamoshi to mar jaane ka hasil hai zinda rahne shor machana padta hai tum bai-ragi tum kya jaano 'momin' ji ulfat mein kya kar jaana padta hai