kaisi kaisi bastiyan do din mein viran ho gain dekhte hi dekhte gard-e-pareshan ho gain shaghl-e-mai kab tak ye saqi aankhen jhuk aaen bahut raat bhigi aur zulfen bhi pareshan ho gain phirti hain aankhon mein saqi shab ki wo kaifiyyaten dekhte hi dekhte khwab-e-pareshan ho gain taqat-e-majnun kuja nazzara-e-laili kuja parda-e-mahmil utha aur aankhen hairan ho gain arsa-e-qaid-e-hayat ab wahshiyon par tang hai chaar diwar-e-anasir mil ke zindan ho gain ras aai hai na aaegi zamane ki hawa 'yas' kya kya sohbaten gard-e-pareshan ho gain