kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baith ai khanuman-kharab na tanha sharab pi tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulistan to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu utha ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya dukh ka koi ilaj nahin ja sharab pi baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghate ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada jin raftagan ke sath hamesha sharab pi kal hum se apna yar khafa ho gaya 'faraaz' shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi