kal raat dil mein yaadon ka mela laga raha mazi ko chashm-e-haal se main dekhta raha tere baghair ji to na sakte the hum magar gham tera zindagi ka sahaara bana raha munh mein zaban na rakhte the teri gali ke log main pattharon se tera pata puchhta raha zindan-e-ehtiyat mein guzri tamam umr main jurm-e-agahi ki saza katta raha shal ho gaya wajud to 'abid' khula ye bhed main jis ko dhundhta tha wo mujh main chhupa raha