kal talak qane raha jo gardish-e-taqdir par mustaid hai aaj wo aafaq ki taskhir pur shor-o-ghul mein shahar ke us ki sada bhi kho gai naz tha jis ko ki apne nutq ki tasir par jo bhari mahfil ke dil mein raushni phaila gai wo khafa hai aaj tak meri isi taqrir par aur jab wo le saka mujh se na koi intiqam dal di ek khak ki mutthi meri taswir par apne hi jazbaat ke aage na kuchh us ki chale wo jo qadir hai khalaon ki kathin taskhir par kyun na dun main dusron ko ratjage ka mashwara main ki khud nadim hun apne khwab ki tabir par jab se likha hai qasida main ne us ki shan mein rashk sa aane laga us ko meri tahrir par aakhirash wo zinat-e-aghosh-e-gum-nami hua wo jo khush hota tha apni khokhli tashhir par kis tarah 'betab' us ne chhu liye barbat ke tar hath jo rakha hua tha qabza-e-shamshir par