kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun baghair mere sabhi hain pani ki maujon ka iztirab main hun ye waqt ka be-karan samundar main us ki had tak pahunch na paya gira tha sahil pe tut kar jo hua tha jo gharq-e-ab main hun na jaane kya hai ki meri hasti kisi ki aankhon ka mai-kada hai subu bhi main hun hun main hi saqi ayagh main hun sharab main hun tere karam ki kiran ne mujh ko uthaya pasti se aasman par kabhi ye shak aaftab main hun kabhi guman mahtab main hun jahan nahin tha wahan bhi main tha tu dekh kar bhi na dekh paya kalam bhi main sukut bhi main sawal main hun jawab main hun usi ne har shab ki subh ki hai har ek diye ki wo raushni hai kabhi mujassam bhi ho ke kah de ki dekh tera hi khwab main hun