kar diya zulf-e-pareshan sa pareshan mujh ko dasht mein chhod gaya hai dil-e-nadan mujh ko dagh-e-yaran-e-watan tha jo dil-e-mahzun mein wo nazar aaya charagh-e-tah-e-daman mujh ko jaan-kani se kahin achchha hai mera mar jaana nim-bismil na bana nawak-e-mizhgan mujh ko jalwa-e-subh-e-qayamat ka maza deta hai chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-gareban mujh ko murgh-e-dil dam mein gesu ke ulajh kar na kahe ho mubarak tumhein gulshan to ye zindan mujh ko jalwa-e-husn-e-khuda-dad dikha kar dilbar misl-e-aina kiya aap ne hairan mujh ko apna apna ye muqaddar hai kahun kya waiz mahfil-e-waz tujhe mahfil-e-rindan mujh ko apni tanhai pe rota hun badi hasrat se apna pahlu jo nazar aata hai viran mujh ko ghuncha-e-zakhm-e-jigar khil ke dikha dete hain chaman-e-ishq sanam ka gul-e-khandan mujh ko mehman gosha-e-turbat ka mujhe hona hai kyun na marghub ho ye gor-e-ghariban mujh ko minnaten maut ki karta hun to wo kahti hai zindagi ne to kiya tera nigahban mujh ko sher-goi nahin sikhi hai 'jamila' main ne meri fitrat ne kiya sahab-e-diwan mujh ko