kar duaen ki duaon mein asar hota hai mehnati hath ke hisse mein samar hota hai ab faqiron ko wahi tal diya karte hain mal-o-daulat se bhara jin ka bhi ghar hota hai aadha pani ho ghade mein to chhalakta hai bahut jhuk hi jata hai jo phaldar shajar hota hai in chatanon ko badal deta hai fan-paron mein mehrban jin pe bhi wo jaan-e-hunar hota hai muntazir baithe hain raste mein bichha kar aankhen dekhna ye hai ki kab un ka guzar hota hai zulm ki aag ko itna na hawa do 'anjum' kanp uthti hai zamin zulm agar hota hai