karam bhi husn ke ban kar itab guzre hain

karam bhi husn ke ban kar itab guzre hain
na puchh ishq pe kitne azab guzre hain

bade qarib se dekha hai main ne aaj un ko
wo samne se mere be-hijab guzre hain

nizam-e-ishq taghayyur-pazir ho na saka
wagarna yun to bahut inqalab guzre hain

phisal gae hain jahan panw ahl-e-danish ke
wahan se ahl-e-junun kaamyab guzre hain

sabhi ne shokhiyan bakhshi hain kuchh takhayyul ko
mere qarib se jitne shabab guzre hain

teri nigah-e-taghaful to khub waqif hai
meri hayat mein kitne sarab guzre hain

hum ahl-e-dil teri ruswaiyon ke pesh-e-nazar
jidhar se guzre ba-sad ijtinab guzre hain

tumhaare ru-e-darakhshan ki jab bhi yaad aai
meri nazar se mah-o-aftab guzre hain

farogh-e-husn-e-bahaaran to dekhiye 'nasir'
chaman se shoala-o-gul be-naqab guzre hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close