karenge hum se taqabul ye kya jahan wale bahaar wale kahan aur kahan khizan wale kiya tha waqt-e-shahadat jo aakhiri sajda usi zamin pe utarte hain aasman wale namaz-e-fajr pe bedari ka sabab hai yahi hamare sinon mein rahte hain wo azan wale wo jis ke dar pe utarte hain aasman ke log duaen dete hain hum ko wahi makan wale ab us maqam pe apna qiyam rahta hai ki naz karte hain jis par sabhi jinan wale suno ki aaj bhi maqtal se aa rahi hai sada bacha ke le gae insaniyat sinan wale falak pe raunda tha nalain se jinhen ek roz wo hum ne raste dekhe hain kahkashan wale wo jin ke sinon pe hain naqsh-e-matami suraj ujale bant rahe hain wahi nishan wale