karo wo kaam jis se har kisi ko faeda pahunche bano wo shama jis se tira-bakhti ko ziya pahunche thahar kar sans bhi hum ne na li jab gamzan the hum jo ruk ruk kar chale rahon mein wo manzil ko kya pahunche pila kuchh is tarah ki laut kar jaana na ho mumkin ki thukra kar do-alam hum yahan tak saqiya pahunche jo kahte the ki gar dube bhi to ek sath dubenge wo hum ko chhod kar manjdhaar mein sahil pe ja pahunche hamare khun se us shokh ke rang-e-hina aae payam-e-shauq le kar koi un tak dusra pahunche mera khat phad kar tum ne kiya asbab-e-ruswai ye tukde ud ke bikhrenge jahan tak bhi hawa pahunche na chhed ai mutrib-e-khush-zauq naghma ishq-o-ulfat ka ki jis se ek shikasta dil ke zakhmon ko jila pahunche hum aajiz aa gae ab naseh-o-mulla ki baaton se jinhen hai khabt jannat ka unhen to bas khuda pahunche